Mohabbat Yeh Lyrics – Ishqedarriyaan | 2015

By Charu Mandal

Mohabbat Yeh Lyrics minn Ishqedarriyaan. Dan Kanzunetta Bollywood kantata, komposta u miktuba minn mużiċist mill-Pakistan - Bilal Saeed.

Kantanti: Bilal Saeed

Lyrics: Bilal Saeed

Magħmul: Bilal Saeed

Film/Album: Ishqedarriyaan

Tul: 2:58

Rilaxx: 2015

Tikketta: Kumpanija tal-Mużika Zee

Screenshot ta' Mohabbat Yeh Lyrics

Mohabbat Yeh Lyrics – Ishqedarriyaan

Aankh hai abhi namm zara si
Zindagi dhoondhe wajah si re..
Ehsaas wo phir tera gham bhar de
Jab mujhe tu tanha sa kar de re..

Mere lafz tu hi, jaan bhi
Mera ishq pe imaan bhi
Sajde kare insaan hi
Dikhe tujhme phir jahaan bhi
Jitna bhulaaye utna rulaaye
Huve tum paraaye jo
Ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh..

Aansuon ko mile na koi wajah khushi ki
Dard hai ke ye dil se jaata hi nahi
Ake thehra hai mere sine me tera gham is tarah
Phool sehra me koi khilta hai sawan ka jis tarah
Lagte hain saare apne paraaye
Dil chot khaaye toh
Ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh..

Lamha lamha huaa hai mujhse yun ajnabi
Jaise ki zindagi mein zindagi hi nahi
Namm hai yeh aankh, gum hai alfaaz
Khamosh hai zubaan
Chhod aaya main dhadkano ko
Tha tune chhoda jahaan
Jiske liye ho sapne sajaaye
Wohi tod jaaye toh
Ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh..

Kanzunetta Mohabbat Yeh Lyrics – Ishqedarriyaan | 2015

Kumment