Bismil Lyrics (Haider) – Sukhwinder Singh

By Meghana Prakash

Bismil Lyrics (Haider) 2014 poje Sukhwinder Singh. To Bollywoodska pesem je zložil Vishal Bhardwaj, besedilo pa je napisal Gulzar.

Igrajo zvezde filma Haider Kay Kay Menon, Shahid Kapoor, Shraddha Kapoor, Tabu. In režiral Vishal Bhardwaj. Haider izide 2. oktobra 2014.

Singer: Sukhwinder Singh

Avtor besedil: gulzar

Sestavljeno: Vishal Bhardwaj

Film/album: Haider

dolžina: 2:06

za javnost: 2014

Glasbena založba:  Glasba Times

Posnetek zaslona Bismil Lyrics (Haider)

Bismil bulbule bismil lyrics

Bismil bismil, bulbule bismil
Mat mil mat mil, gul se mat mil
Aye bismil bismil, bulbule bismil
Mat mil mat mil, gul se mat mil
Bismil bismil, bulbule bismil
Aye dil bul-bule, bulbule bismil
Mushkil dil bhi mushkil hoti hai

Dil dhadke dil, dil dhadke toh
Dil dhadke dil, dil dhadke toh
Dhadkane dil bhi harqat dil hoti hai
Khushboo-ein gul mein, ishq bhara hai

Mat mil mat mil, gul se mat mil
Aye bulbule bismil
Mat mil mat mil, gul se mat mil
Aye bulbule bismil

Ho sun le zamaana, samjhata hoon
Teri kahaani dohrata hoon
Aye dil-e-bul-bul, bulbule bismil
Aye dil-e-bul-bul, bulbul bulbule bismil
Ekk joda tha, nar maada ka
Bholi thi bul-bul, nar saada tha
Ek joda tha, nar maada ka
Bholi thi bulbul, nar saada tha

Barf gira karti thi jab
Bhar jaati thi kauh saaro mein
Ik baaz bada badniyat tha
Haan, ikk baaz bada badniyat tha
Uddhta tha, sab za zaaro mein
Pankhon mein uske, maut chupi thi

Mehfil mehfil dhoond raha tha
Mehlon ki manzil
Mehfil mehfil dhoond raha tha
Mehlon ki manzil

Bulbul ke khwaabo mein jaa kar
Zeher ke dunk lagaaye the
Khusboo-ein gul mein zeher bhara
Aur maada ko bhij waaye thhe
Zeher ke dunk lagaye thhe
(bulbul ke khwaabon mein jaa kar)
Maada ko bhij waaye thhe
(zeher ke dunk lagaye thhe)
Ho waadi mein chidka barood
Jheel mein jaal bicha daale
Churiyon se bichaare nar ke
Churiyon se bichaare nar ke
Dono pankh kata daale

Arrey dil dil dil dil jhooth kahe ye
Jhooth kahe bujdil
Mat mil mat mil, gul se mat mil
Aye bulbule bismil
Aye bulbule bismil

Zakhmi nar ko qaid kiya
Zanjeeron mein bandh waaya
Aaramula ke shiripur se
Phir paani mein phik waaya
Zehlum, Zehlum
Laal laal, huya laal laal
Huya laal laal, huya laal
Zehlum, Zehlum
Laal laal, huya laal laal
Huya laal laal, huya laal

Kašmir ke paani ki taaseere
Khul gayi zanjeerein takdeere
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga

Hosh mein aaja, hosh mein aaja
Aja bulbule bismil, bulbule bismil
Khusboo-ein gul mein zeher bhara hai
Hosh mein aaja, hosh mein aaja
Aye bulbule bismil
Hosh mein aaja, hosh mein aaja
Aye bulbule bismil

Tukaj je pesem Binte Dil Lyrics – Padmaavat

Pustite komentar