Jogi Ho Gaya Besedilo – Aashiq Hoon | JAVED ALI

By Harkiratpal Verma

Jogi Ho Gaya Besedilo: Poje Javed Ali & Prateeksha Srivastava, To Bollywoodska pesem "Jogi Ho Gaya" iz filma "Ishq Pashmina", Roop Mahanta je zložil glasbo, medtem ko je besedilo pesmi zapisal Arvind Pandey. Videoposnetek pesmi vključuje – Bhavin Bhanushali & Malti Chahar.

Ta pesem je bila izdana leta 2022 v imenu družbe Zee Music Company.

Ime pesmi: Jogi Ho Gaya

Pevec: Javed Ali & Prateeksha Srivastava

Besedilo pesmi: Arvind Pandey

Sestavljeno: Roop Mahanta

Film/Album: Ishq Pashmina

dolžina: 4:48

za javnost: 2022

Label: Glasbeno podjetje Zee

Posnetek zaslona pesmi Jogi Ho Gaya

Jogi Ho Gaya Besedilo – Aashiq Hoon

Teri chahat mein hum bhool baithe jahan
Hosh khud ka nahi ab zara bhi raha
Hum bhi dikhne lage thode deewane se
Ab mera dil bhi lagne laga sirfira

Jaane kaisa ye jaadu kar diya
Jaane kaisa ye jaadu kar diya
Dil tere pyar mein jogi ho gaya
Dil tere pyar mein jogi ho gaya

Nigaahon mein to is kadar hai samaya
Nazar ab koi aur aata nahi hai
Sare aasmaan mein yoon to lakhon sitare
Siwa chaand ke koi bhata nahi hai

Hai falak tu mera meri zamin hai
Tere siwa meri zindagi nahi

Ho jaane kaisa ye jaadu kar diya
Jaane kaisa ye jaadu kar diya
Dil tere pyar mein jogi ho gaya
Dil tere pyar mein jogi ho gaya

Ye kaisa nasha hai teri chahton ka
Meri dhadkane bhi behakne lagi hain
Mere in labon pe tumhari mehak hai
Shararat nazar ki badhane lagi hai

Mujhe chhu rahe hai badan ke ujale
Kaise koi phir khud ko sambhale

Jaane kaisa ye jaadu kar diya
Jaane kaisa ye jaadu kar diya
Dil tere pyar mein jogi ho gaya
Dil tere pyar mein jogi ho gaya

Še ena pesem Aashiq Hoon Besedilo – Ishq Pashmina | Raj Barman

Pustite komentar