Tum Se Hi Lyrics: mula sa Sadak 2, Ito Kantang Bollywood ay kinakanta ni Ankit Tiwari at Leena Bose, at may musika ni Ankit Tiwari habang isinulat ni Shabbir Ahmed ang Tum Se Hi Lyrics.
mang-aawit: Ankit Tiwari at Leena Bose
Lyrics: Shabbir Ahmed
Binubuo: Ankit Tiwari
Pelikula / Album: Sadak 2
Haba: 2:41
Pakawalan: 2020
Tatak: Sony Music India
Tum Se Hi Lyrics – Ankit Tiwari
Do dil safar mein nikal pade
Jana kahaan kyun fikar karein
Kahaan thikana ho raat ka
Subah kahaan pe basar karein
Khoya khoya dil mera kehta hai
Haan tum se hi bas tum se hi
Meri jaan hai bas tum se hi
Dil ko mere aaraam hai
Pareshaan hai bas tum se hi
Jo dard ko sukoon de
Wo dard tum se milta hai
Ae dil zara itna bata
Kyon ishq unse hota hai
Saanson ko ab jeene ka
Jaise sahara mil gaya
Khoya khoya dil mera kehta hai
Hmm.. Tum se hi bas tum se hi
Meri jaan hai bas tum se hi
Dil ko mere aaraam hai
Pareshaan hai bas tum se hi
Aashiqi hoti hai kya
Dil ko mere malum na tha
Ek bhi teri tarah
Chehra koyi masoom na tha
Haan yoon laga is jaan mein
Ik jaan si dakhil huyi
Ab to har lamha mujhse kehta hai
Haan tum se hi bas tum se hi
Meri jaan hai bas tum se hi
Dil ko mere aaraam hai
Pareshaan hai bas tum se hi
Tum se hi..