Wahi Toh Khuda Hai Lyrics ni Armaan Malik, This latest Hindi kanta iis sung by Armaan Malik habang nilikha ni Mithoon ang musika nito. Ang mga lyrics ng kanta ng Wahi To Khuda Hai ay isinulat din ni Mithoon. Ang music video nito ay inilabas ng T-Series.
mang-aawit: Armaan Malik
Lyrics: Mithoon
Binubuo: Mithoon
Pelikula / Album: -
Haba: 3:57
Pakawalan: 2023
Label: T-Serye
Wahi Toh Khuda Hai Lyrics – Armaan Malik
Jo humse door nahi hai
Jo humse door nahi hai
Sabka huzur wohi hai
Jo sabse bada hai
Wahi toh khuda hai
Wahi to khuda hai
Pyaar ka behta
Samundar samundar
Bahar nahi tere andar
Jo kabse basa hai
Wahi toh khuda hai
Wahi to khuda hai
Jo ishqe bayaan hai
Wahi toh khuda hai
Taareef uski karein kya
Woh neik se bhi neik hai
Tareef uski karein kya
Woh neik se bhi neik hai
Mohabbat hai nazron mein teri
To sab mein wahi dekh hai
Woh behti hawaaon ke jhonke mein hai
Woh mehki fizaa mein na hoke bhi hai
Sabhi mein woh shamil yahaan
Barish ka girta yeh paani
Mausam ke rang ruhani
Haan jiske gawah hain
Wahi toh khuda hai
Wahi to khuda hai
Jo lamse shifa hai
Wahi toh khuda haan
Wahi toh khuda hai
Jo humse door nahi hai
Wahi toh khuda hai
Sabka huzur wahi hai
Jo sabse bada hai
Wahi to khuda hai
Wahi toh khuda hai
Wahi to khuda hai
Wahi toh khuda hai