Aaj Jane Ki Zid Na Karo Lyrics – Naamkarann (2016) | Arijit Singh

By Sara Nair

Aaj Jane Ki Zid Lyrics from Naamkaran sung by Arijit Singh. This Hindi song is composed by Aaryan with lyrics penned by Fayyaz Hashmi.

Singer: Arijit Singh

Lyrics: Fayyaz Hashmi

Music: Aaryan

Length: 1:00

Screenshot of Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Lyrics

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Lyrics

Aaj jaane ki zid na karo (x2)
Yoonhi pehlu mein baithe raho (x2)
Aaj jaane ki zid na karo (x2)

Haaye mar jaayenge
Hum toh lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo

Aaj jaane ki zid na karo (x2)

Tumhi socho zara kyun na roke tumhe (x2)
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum (x2)
Tum ko apni kasam jaane jaan
Baat itni meri maan lo

Aaj jaane ki zid na karo (x2)
Yoonhi pehlu mein baithe raho (x2)
Aaj jaane ki zid na karo (x2)

Haaye mar jaayenge
Hum toh lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo

Aaj jaane ki zid na karo (x2)

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar (x2)
Chand ghadiyan yehi hain jo aazaad hain (x2)
Inko khokar meri jaane jaan
Umr bhar na taraste raho

Aaj jaane ki zidd na karo (x2)
Yoonhi pehlu mein baithe raho (x2)
Aaj jaane ki zidd na karo (x2)

Haaye mar jaayenge
Hum toh lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo (x2)

Kitna masoom rangeen hai yeh sama
Husn aur ishq ki aaj mairaaj hai (x2)
Kal ki kis ko khabar jaane jaan
Rok lo aaj ki raat ko

Aaj jaane ki zid na karo (x2)
Yoonhi pehlu mein baithe raho (x2)
Aaj jaane ki zid na karo (x2)

Haaye mar jaayenge
Hum toh lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo (x2)

Checkout 36 Aayengi 36 Jayengi Lyrics

1 thought on “Aaj Jane Ki Zid Na Karo Lyrics – Naamkarann (2016) | Arijit Singh”

  1. অভিনন্দন লিরিক্সটেড.কমকে।

    বার বার শুনি।প্রিয় গজলটি বাংলা ভাষায় হলে আরো উপভোগ‍্য হত।

    Reply

Leave a Comment